रविवार, 6 अप्रैल 2014

Anatarman

Amar prem yah sundar man hai
Jivan ka e ek sundar rang hai
Bahate jana is dunia me
Jivan ka yah antarman hai

Aag bujhi na antartam ki
Pani ki is hamjoli se
Jivan ke jar chetan me
Amar prem yah sundar man hai

Jab jal uthti hai jivan sari
Dipak ki aakhmichauli se
Jab sara jivan tapta hai
Man mandir ke pawan dar pe

Fir aadi anadi vyarth chobh se
Bhatke birane path jungle me
Fir prem ki najare aati hai
Samay rahat pawan path pe

Jab jivan ki naiyaa bhatke
Jab Ghor udasi cha jae
Fir ek ishara milte hi
Sab jivan path par aa jae

Jab aag lage man mandir me
Jab sans nahi chal pati ho
Jab ruk ruk kadam badhate bhi
Thokar se bhu par aa jae

Tab Amar prem yah sunder man hai
Jivan ka e sunder rang hai
Bahate jana fir dunia me
Jivan ka yah antarman hai

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

thanks ....