रविवार, 30 मार्च 2014

MERI KHUD KI KAVITA

MERI KHUD KI KAVITA

December 31, 2012 at 2:16pm
TUMNE HANSA USNE HANSA
                         SABNE HANSA,JANE DO
JISE APNA THA SAMJHA 
                         USNE HANSA,JANE DO
JISE HAMNE HANSA THA 
                         USNE HANSA ,JANE DO
HANS HANS KE PARESHAN HAI SAB 
                         HAME KYA PARI,JANE DO
HANSTI HAI DUNIA MUJHPE 
                         HANSTI HAI TO KYA ,JANE DO
MURKHO KI BASTI HAI 
                         DUNIA MUJHPE HANSTI HAI
                    JANE DO

Jaun to kahan jaun

Jaun to kahan jaun

December 5, 2012 at 7:11pm
Ham jale hai aajtak 
jis sahar me 
chorkar aaj mai jaun 
to kahan jaun? 
bepanah hasrato ki rakh 
bojh e sar pe rakhkar jaun 
to kahan jaun? 
chal pari hai nao meri 
aasuon ki majhdhar me 
fans kar uljhe suljhe?to kaisse jaun 
to kahan jau? 

Ham aaj bhi apni ummido ke tale soe hai sar rakh kar 
jag jaun to jaun: 
to kahan jaun?galtio ki gathriya 
bikhri pari hai yahan wahan 
simte to jaun; 
ti kahan jau? 
Pattharo ki sahar me fanse 
dararo me paiir jau 
to kahan jau? 
By :: 
written by 
aDaRsH

SAMA

SAMA

March 10, 2012 at 9:23pm
E SAMA VIRAN KYUN HAI 
JISKE THE SAN HAM BHI 
GUNJTI THE THAP 
MERE PAON K NISAN AB BHI 
E SAMA VIRAN KYUN HAI 
IS SAMA KI SAN ME 
KYON AAJ NAMI SI AA GAYI 
TAPTI THI JO KABHI DOSTI KI AAG ME 
HOTE THE JHAGRE NIT DOSTI KI SAN ME 
FIKa SA LAGTI HAI AB 
CHAE KI BHI CHUSKIYA 
PYAR KI MITHAS SE 
JO CHATCHATATI THI KABHI 
HAM AAJ BHI US SAMA KE KASHIDE GATE HAI 
JAB BHI JATE HAI US RASTE SE 
BARBARAS DO BUND GIR JATE HAI SARAK PAR 
AAJ BHI EK KARJ SA HAI US SAMA KA DIL PE HAMARE 
E SAMA VIRAN KYON HAI 
KHOJTA HU HAL NIRANTAR 
PHIR BHI 
E SAMA VIRAN KYON HAI

MAIN HANSTA HU HANSTA RAHUNNGA

MAIN HANSTA HU HANSTA RAHUNNGA

December 12, 2012 at 7:29pm
MAI HANSTA HU HANSTA RAHUNGA 
========================================
andho ki sahar me aayina bechata hu
 kyon malum nahI
mai bhi kyon paglo se bate karta firta hu
kyon malum nahi 
aaj andhere me soe the jal raha tha ujala 
kyon malum nahi
aaj fir paglo se bate karta main bechain tha
kyon malum nahi
aag to wahan thi fir ye dhuaaan yahan 
kyon malum nahi
wo saks aisse hi fir hans raha mujhpe 
kyon malum nahi
lekin fir bhi mai uske  piche chala ja raha
kyon malum nahi
fir bhi mai hansta hu hansta rahunga 
kyon malum nah
i===================================
bY (aDaRsH kuMaR)

Besahara

Besahara

January 18, 2013 at 3:52pm
Ham khud besahara 
manjil ki fikra me 
khojte fir rahe the 
ek lathi ka sahara 
aakar tune khud sath 
chalne ki bat kahi 
mujhe lathi mil gai 
tumhe tumhara hamsafar 
aakhir isme bura kya hai 
sath chalte chalte jo ham larkharae 
teri kandho ki badolat mujhe 
mera sahara mil gaya 
manjil ki talash me bhatakte 
ham kab se pagal the 
tere kadmo ki sarsarahat 
mere kadmo ki dhun ban gai 
teri hi badolat sahi 
girte parte sambhalte hi sahi 
kadam bejan :lahuluhan 
dhup me sukhte pairo ko 
tere aansuon ne hi thandak di 
maine to kuch bhi nahi liya 
lekin 
mujhe meri manjil mil gai;;; 
by:: 
adarsh

Andhiyan

har mor par ek patthar khaari hai;
rokne ko rasta;
gar agar himmat hai to;
ham nikal jaenge hi;
jab tumhare sauk ne ;
hamko gawara na kiya;
to hamara sauk hai;
 ham sadke jae hi saahi ;
manjil milegi ;
sath mere tu rahe ya na rahe ;
har mor pe lekin teri nishaniya rahengi hi ;
aaj kal teri surat me bibshata saf ha;
ruk jara mastiya kar le  ;
kal ham rahe na rahe ;
jal raha hai to ;
dhuan dikh raha hai saf hai ;
lau uthi hai , ;
aandhiyan hai ;
chal nikal jae kahin ;
gar agar tu sath de de to ;
e manjil hi kya ;
raste hai dhul uthni ;
bhi yahan insaf hai ;
by 
adarsh prashar

Sapno ki Chadar

Sapno ka chadar


MERI KHUD KI KAVITA


MAUSHAM KI MAST KHUMMARI ME
FULO KI MAST KAYARI ME 
TITLI KI AASHA  CHOR
SAPNO K CHADAR ODH


MOTI SE OSH KE DANO SE
MAUSAM KE  TARANO SE
MILAN KI AASHA CHOR
SAPNO KI CHADAR ODH


SURAJ KI AAKHMIICHAULI ME
BHAWARON KI MITHI BOLI ME
PRIYATAM KI YADEIN CHOR 
SAPNO KI CHADAR ODH


PURABAIYA KE SANGITO SE
KOYAL KE MITTHI GITO SE
KUHRE KI CHADAR CHOR 
SAPNO KI CHADAR ODH


MITTI KI BHINI KHUSBOO ME
DO GAJ KE UCHE KILE ME 
JIVAN SE NATA TOR 
SAPNO KI CHADAR ODH

by
(ADARSH PRASHAR)

Vardan

Darkhto ke sae me kati ho agar
Do char rate
To pucho jara khud se aasman ki kimat
Ki kaisse rat sari bina chadar ghurte taro ko
Subh suraj ki dik se khule aankhe jara ..minche
Paro ki pesagi chidiyan kare to
Vardan kya mange
Mujhe ghar hai jara tabiyat sahi nahi
Tu bekhabar soya hai koi chinta fikar nhi
Jab rat ho to ho andhera kuch is tarah
Tujhe tare na dikhe mujhe meri chinta fikar
Barbas ..nind aa jae tujhe gar meri rajai me
Darkhto ke sae me tare ginunga mai rat bhar